Tuesday, 15 March 2016

یتیم کا مال کھانا

Yateem ka maal khana
Rasool (S.A.A.W) nay farmaya kay:- "Qayamat main baazay admi is tarha qabroon say uthainge kay unkay mounh say aag kay sholay nikaltay honge. Kisi nay Aap (S.A.A.W) say poocha, Ya Rasool Allah (S.A.A.W) wo kon log honge? Aap (S.A.A.W) nay farmaya kay tum ko maloom nahien ke Allah Talla nay Qur'an Majeed  main farmaya hai kay jo log yateemoon ka maal na-haq khatay hain wo apnay pait main angaaray bhar rahay hain."

غیر مردوں کے روبرو عورت کا عطر لگانا

Ghair mardoon kay robroo aurat ka atar lagana 
   Rasool Allah (S.A.A.W) nay irshaad farmaya kay:- " Aurat agar atar laga kar ghair mardoon kay paas say guzray to wo aisi aisi hai yaani badkaar hai".