Monday, 14 March 2016

کنسوئیں لینا یا باتیں کرنے والوں کے پاس جا گُھسنا

Kansoian laina ya Batain karnay waloon kay paas ja ghusna
Hazrat Mohammad (S.A.A.W) ka farman hai kay:- 
       "Jo shakhs kisi ki batoon ki taraf kaan lagay aur log nagawaar samjhain, qayamat kay din us kay kaanoon main seesa chhora jayega".

Yateem kay saath ache bartao ka inaam

Hadees Shareef 
Rasool (S.A.A.W) nay farmaya:- 
     "Jo shakhs yateem kay sar par haath phairay aur Allah Talla hi kay wastay phairay, jitnay baloon pr kay is ka haath guzra ho utni hi naikiyan us ko milaingi aur jo shakhs kisi yateem  larki ya larkay kay sath ehsan kary jo kay us kay paas rehta ho to main aur wo jannat mian is tarha rahenge jaisay shahadat ki ungli aur beech ki ungli paas paas hain".

بے باپ کے بچوں کی پرورش کرنا

Yateem Bachoon ki parwarish

Rasool Allah (S.A.A.W) nay farmaya:-" main aur jo shakhs yateem ka kharch apnay zimay rakhy, bahisht (jannat) main is tarha paas pass rahainge (aur shahadat ki ungali say ishara kar kay batlaya awr dono mian thora fasla rehne dia.)."